Thursday, June 26, 2008

Tum Ko Iss Se Kya?

Tooti Hay Meri Neend Magar,Tum Ko Iss Se Kya?
Bajtay Rahein Hawaon Se Dar,Tum Ko Iss Se Kya?

Tum Mouj Mouj Misl e Saba Ghoomtay Raho
Kat Jayein Meri Soch k Par,Tum Ko Iss Se Kya?

Auroon Ka Hath Thamo Unhein Rasta Dikhao
Main Bhool Jaon Apna Hi Ghar,Tum Ko Iss Se Kya?

Abar e Guraiz Pa Ko Barasny Se Kya Gharz?
Seepi Mein Ban Na Paye Ghar,Tum Ko Iss Se Kya?

Le Jayein Mujh Ko Maal e Ghanimat k Sath Addo
Tum Ne To Daal Di Hay Sipar,Tum Ko Iss Se Kya?

Tum Ne To Thak k Dasht Mein Khaimey Laga Liye
Tanha Katay Kisi Ka Safar,Tum Ko Iss Se Kya...??

Na rahe ab wo hum

Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !!

Chura Ker Ley Jaye

Khuwab Aankhon Sey Ab Koi Chura Ker Ley Jaye
Qaber K Sookhey Huwey Phool Utha Ker Ley Jaye

Muntazir Phool Main Khushbu Ki Tarah Hun Kab Say
Koi Jhonkay Ki Tarah Aaye Ura Ker Ley Jaye

Yeh Bhi Pani Hey Mager Aankh Ka Aisa Pani
Jo Hatheli Sey Rachi Mehndi Chura Ker Ley Jaye

Main Muhabbat Sey Mahakta Hua Khat Hun Mujh Ko
Zindagi Apni Kitaabon Mein Chupa Ker Ley Jaye

Khaak Insaaf Hey Nabeena Butoon Key Aagey
Raat Thaali Mein Charaaghon Ko Sajaa Ker Ley Jaye

Un Say Kehna K Main Paidel Nahi Aaney Wala
Koi Baadal Mujhay Kaandhey Peh Bitha Ker Ley Jaye

adanaa saa fasaanaa hai

ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai
simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai

ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai
jo ashk hai aa.Nkho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai

ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasanaa hai
rone ko nahii.n ko_ii ha.Nsane ko zamaanaa hai

vo aur vafaa-dushman maane.nge na maanaa hai
sab dil kii sharaarat hai aa.Nkho.n kaa bahaanaa hai

kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham Khaak-nashiino.n kii Thokar me.n zamaanaa hai

vo husn-o-jamaal un kaa ye ishq-o-shabaab apanaa
jiine kii tamannaa hai maranaa kaa zamaanaa hai

yaa vo the Khafaa ham se yaa ham the Khafaa un se
kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai

ashko.n ke tabassum me.n aaho.n ke tarannum me.n
maasuum mohabbat kaa maasuum fasaanaa hai

aa.Nkho.n me.n namii sii hai chup-chup se vo baiThe hai.n
nazuk sii nigaaho.n me.n naazuk saa fasaanaa hai

hai ishq-e-junuu.N-peshaa haa.N ishq-e-junuu.N-peshaa
aaj ek sitamagar ko ha.Ns ha.Ns ke rulaanaa hai

ye ishq nahii.n aasaa.N itanaa to samajh liije
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai

aa.Nsuu to bahot se hai.n aa.Nkho.n me.n 'Jigar' lekin
bindh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai

Ghum unko bhi naseeb hote hain

Ghum unko bhi naseeb hote hain
Jo log khush naseeb hote hain

Hota hai aik hee koi apna
Warna saare raqeeb hote hain

Daulat-e-zindagi ki khuwahish hai
Log kitne ghareeb hote hain

Zakhm hum ko jo atta kerte hain
Wo humare habeeb hote hain

Hum ko dushman samajh rahe hain jo
Wohi dil ke kareeb hote hain

Dilon mein dard chupaney waley
Khuwahishon ke saleeb hote hain

Ishq mein mar ke bhi fana na hue
Silsiley yeh bhi ajeeb hote hain

Kisi din ..

Khud apane liye baith ke sochenge kisi din
YuN hai ki tujhe bhul ke dekhenge kisi din

Bhatake hue phirate hain kai lafz jo dil men
Duniya ne diya vaqt to likhenge kisi din

Hil jayenge ik bar to arshon ke dar-o-bam
Ye Khaknashin log jo bolenge kisi din

Apas ki kisi bat ka milata hi nahin vaqt
Har bat ye kahate hain ke baithenge kisi din

Ai jan teri yad ke be-nam parinde
Shakhon pe mere dard ki utarenge kisi din

Jati hai kisi jhil ki gaharai kahan tak
Ankhon men teri Dub ke dekhenge kisi din

Khushbu se bhari sham men jugnu ke qalam se
Ik nazm tere vaste likhenge kisi din

Soyenge teri ankh ki Khlvat men kisi rat
Saye men teri zulf ke jagenge kisi din

Khushbu ki tarah ,asl-e-saba Khak numa se
Galiyon se tere shahar ki guzarenge kisi din

`Amjad` hai yahi ab ke kafan bandh ke sar se
Us shahar-e-sitamgar men jayenge kisi din

Aaj ashqoon ka taar toot gaya

Aaj ashqoon ka taar toot gaya,
Rishta_e_intzaar toot gaya,

Yuun wo thukra ke chal diye goya,
Ikk khilona thaa pyaar toot gaya,

Roye reh reh kar hichkiyaan lekar,
Saaz_e_gam baar baar toot gaya,

Aap ki berukhi ka shikwa kya,
Dil thaa na_paidaar toot gaya,

Dekh lee dil ne besabati_e_gul,
Phir tilism_e_bahar toot gaya,

Kya chaar din ki ranjish se,
Itni muddat ka payar toot gaya

Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn

HaQeeqat hAi YaQeen Kar lO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn
MOhabbat Mar ChUkki hAi Ab Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn

Badaltii rUtt Kii Wajah Sey tAbiyet Kuch BOjhal Sii hAi
YOun Mera Haal Na POocho Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn

Meray Lehjey Par Mat ChOnko Merii AankhOun Mein Mat JhankO
YOun Hairat Sey Na Dekho Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn

TUmhien Kya Weham hAi kyOun Raat Bhar Milney Nahi Aatien?
Aey Meri Neend Kii PariyO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn

Bhala kyOun Roz Bahaien AansOo kyOun Mujh Sey Milney Aatii hAin
TUm Us Kii Yaad Sey Keh dO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn

Udaasii Sarey Ghar Mein Phailtii jAtii hAi Gham Ban Kar
Har Dewaar Par Likh dO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn